देखो बिना सावन बरस रही बदली
देखो बिना सावन बरस रही बदली -2
पिया के दरस को तरस रही बदली
देखो बिना सावन …
पी बिन दुनिया सूनी हो गई मन की पीड़ा दूनी हो गई
सौ ग़म जागे क़िस्मत सो गई छलक रही नैनन की गगरी
देखो बिना सावन …
रह गई बिरहन हार पिरोती टूटे सपने बिखरे मोती
बिछड़ ग़ई दीपक से ज्योति उजड़ गई रे मन की नगरी
देखो बिना सावन …
इस दुनिया ने प्यार है छीना रह गया अब तो आँसू पीना
दूर सजन से अब क्या जीना छोड़ दे अब तो दुनिया पगली
देखो बिना सावन …
dekho binā sāvan baras rahī badlī -2
piyā ke daras ko taras rahī badlī
dekho binā sāvan …
pī bin duniyā sūnī ho gaī man kī pīṛā dūnī ho gaī
sau ġham jāge qismat so gaī chhalak rahī nainan kī gagrī
dekho binā sāvan …
rah gaī birahan hār pirotī ṭūṭe sapne bikhre motī
bichhaṛ ġhaī dīpak se jyoti ujaṛ gaī re man kī nagrī
dekho binā sāvan …
is duniyā ne pyār hai chhīnā rah gayā ab to āṇsū pīnā
dūr sajan se ab kyā jīnā chhoṛ de ab to duniyā paglī
dekho binā sāvan …