Dekhaa teree mast nigaahon men nashaa hai adaa hai

देखा तेरी मस्त निगाहों में नशा है अदा है
Work
Year
Language

देखा तेरी मस्त निगाहों में नशा है अदा है मोहब्बत है हो
आजा मुझे बाहों में ले ले रुत ये गज़ब है क़यामत है
धड़कनें तेज़ हो जाने दो प्यार में होश खो जाने दो
देखा तेरी मस्त निगाहों में …

ये हुस्न और ये मस्तियाँ छाने लगी हैं मदहोशियाँ
उफ़ दो दिलों के साज पर गाने लगी हैं खामोशियाँ
अपनी ज़ुल्फ़ों की खुश्बू उड़ा और मुझको दीवाना बना
देखा तेरी मस्त निगाहों में …

रुसवाइयों से डरता है मन अच्छा नहीं दीवानापन
तुमने मुझे क्‌यों छू लिया काँप उठा मेरा बदन
यूं न देखो मुझे ओ सनम डगमगाने लगे हैं कदम
देखा तेरी मस्त निगाहों में …

शोखी है गज़ब की शरारत है कैसे तेरी बाहों में आऊं मैं
रूप ये सनम की अमानत है
प्यार यूं ना जताओ सनम शर्म आती है जाओ सनम
देखा तेरी मस्त निगाहों में …

सुन ये समा कहता है क्‌या रुसवाइयों को भूल जा
दिल को सनम समझा ज़रा यूं न मेरे नज़दीक आ
आँख झुकने लगी है मेरी सुन के बातें ये जादू भरी
देखा तेरी मस्त निगाहों में …

dekhā terī mast nigāhoṅ meṅ naśhā hai adā hai mohabbat hai ho
ājā mujhe bāhoṅ meṅ le le rut ye gazab hai qayāmat hai
dhaṛakneṅ tez ho jāne do pyār meṅ hośh kho jāne do
dekhā terī mast nigāhoṅ meṅ …

ye husn aur ye mastiyāṇ chhāne lagī haiṅ madhośhiyāṇ
uf do diloṅ ke sāj par gāne lagī haiṅ khāmośhiyāṇ
apnī zulfoṅ kī khuśhbū uṛā aur mujhko dīvānā banā
dekhā terī mast nigāhoṅ meṅ …

rusvāiyoṅ se ḍartā hai man achchhā nahīṅ dīvānāpan
tumne mujhe k‌yoṅ chhū liyā kāṇp uṭhā merā badan
yūṅ na dekho mujhe o sanam ḍagamgāne lage haiṅ kadam
dekhā terī mast nigāhoṅ meṅ …

śhokhī hai gazab kī śharārat hai kaise terī bāhoṅ meṅ āūṅ maiṅ
rūp ye sanam kī amānat hai
pyār yūṅ nā jatāo sanam śharm ātī hai jāo sanam
dekhā terī mast nigāhoṅ meṅ …

sun ye samā kahtā hai k‌yā rusvāiyoṅ ko bhūl jā
dil ko sanam samjhā zarā yūṅ na mere nazdīk ā
āṇkh jhukne lagī hai merī sun ke bāteṅ ye jādū bharī
dekhā terī mast nigāhoṅ meṅ …