देख तेरे संसार की हालत क्या हो गई भगवान्
देख तेरे संसार की हालत क्या हो गई भगवान
कितना बदल गया इनसान कितना बदल गया इनसान
सूरज न बदला चांद न बदला ना बदला रे आसमान
कितना बदल गया इनसान कितना बदल गया इनसान
आया समय बड़ा बेढंगा
आज आदमी बना लफ़ंगा
कहीं पे झगड़ा कहीं पे दंगा
नाच रहा नर हो कर नंगा
छल और कपट के हाथों अपना
बेच रहा ईमान, कितना …
राम के भक्त रहीम के बंदे
रचते आज फ़रेब के फंदे
कितने ये मक्कर ये अंधे
देख लिये इनके भी धंधे
इन्हीं की काली करतूतों से
बना ये मुल्क मशान, कितना …
जो हम आपस में न झगड़ते
बने हुए क्यों खेल बिगड़ते
काहे लाखों घर ये उजड़ते
क्यों ये बच्चे माँ से बिछड़ते
फूट-फूट कर क्यों रोते
प्यारे बापू के प्राण, कितना …
dekh tere saṅsār kī hālat kyā ho gaī bhagvān
kitnā badal gayā insān kitnā badal gayā insān
sūraj na badlā chāṅd na badlā nā badlā re āsmān
kitnā badal gayā insān kitnā badal gayā insān
āyā samay baṛā beḍhaṅgā
āj ādmī banā lafaṅgā
kahīṅ pe jhagaṛā kahīṅ pe daṅgā
nāch rahā nar ho kar naṅgā
chhal aur kapaṭ ke hāthoṅ apnā
bech rahā īmān, kitnā …
rām ke bhakta rahīm ke baṅde
rachte āj fareb ke phaṅde
kitne ye makkar ye aṅdhe
dekh liye inke bhī dhaṅdhe
inhīṅ kī kālī kartūtoṅ se
banā ye mulk maśhān, kitnā …
jo ham āpas meṅ na jhagaṛte
bane hue kyoṅ khel bigaṛte
kāhe lākhoṅ ghar ye ujaṛte
kyoṅ ye bachche māṇ se bichhaṛte
phūṭ-phūṭ kar kyoṅ rote
pyāre bāpū ke prāṇ, kitnā …