देख लो आवाज देकर पास अपने पाओगे
देख लो आवाज़ दे कर, पास अपने पाओगे
आओगे तनहा मगर, तनहा नहीं तुम जाओगे
दूर रहकर भी तुम ही पर रहती है अपनी नज़र
बाहों में हम थाम लेंगे, जब भी ठोकर खाओगे
ले ना बदले में तुम्हारे, गर खुदाई भी मिले
छोड़ देंगे दो जहां को, जब भी तुम फरमाओगे
बेवफ़ाई भी करो तो, माफ़ कर देंगे तुम्हे
हम ना वादों से फिरेंगे, तुम अगर फिर जाओगे
dekh lo āvāz de kar, pās apne pāoge
āoge tanhā magar, tanhā nahīṅ tum jāoge
dūr rahkar bhī tum hī par rahtī hai apnī nazar
bāhoṅ meṅ ham thām leṅge, jab bhī ṭhokar khāoge
le nā badle meṅ tumhāre, gar khudāī bhī mile
chhoṛ deṅge do jahāṅ ko, jab bhī tum pharmāoge
bevafāī bhī karo to, māf kar deṅge tumhe
ham nā vādoṅ se phireṅge, tum agar phir jāoge