Dekh lo aaj ham ko jee bhar ke

देख लो आज हम को जी भर के
Work
Year
Language

देख लो आज हमको जी भरके
कोई आता नहीं है फिर मरके

हो गए तुम अगरचे सौदाई
दूर पहुँचेगी मेरी रुसवाई

आओ अच्छी तरह से कर लो प्यार
के निकल जाए कुछ दिलका बुखार

फिर हम उठने लगे, बिठा लो तुम
फिर बिगड़ जाए हम, मना लो तुम

याद इतनी तुम्हे दिलाते जाए
पान कल के लिए लगाते जाए

dekh lo āj hamko jī bharke
koī ātā nahīṅ hai phir marke

ho gae tum agarche saudāī
dūr pahuṇchegī merī rusvāī

āo achchhī tarah se kar lo pyār
ke nikal jāe kuchh dilkā bukhār

phir ham uṭhne lage, biṭhā lo tum
phir bigaṛ jāe ham, manā lo tum

yād itnī tumhe dilāte jāe
pān kal ke lie lagāte jāe