Deevaanon se ye mat poochho

दीवानों से ये मत पूछो
Work
Year
Language

दीवानों से ये मत पूछो दीवानों पे क्‌या गुज़री है
हाँ उनके दिलों से ये पूछो, अरमानों पे क्‌या गुज़री है
दीवानों से ये मत पूछो …

औरों को पिलाते रहते हैं
और ख़ुद प्यासे रह जाते हैं
ये पीने वाले क्‌या जाने
पैमानों पे क्‌या गुज़री है
दीवानों से ये मत पूछो …

मालिक ने बनाया इनसाँ को
इनसान मुहब्बत कर बैठा
वो ऊपर बैठा क्‌या जाने
इनसानों पे क्‌या गुज़री है
दीवानों से ये मत पूछो …

dīvānoṅ se ye mat pūchho dīvānoṅ pe k‌yā guzrī hai
hāṇ unke diloṅ se ye pūchho, armānoṅ pe k‌yā guzrī hai
dīvānoṅ se ye mat pūchho …

auroṅ ko pilāte rahte haiṅ
aur khud pyāse rah jāte haiṅ
ye pīne vāle k‌yā jāne
paimānoṅ pe k‌yā guzrī hai
dīvānoṅ se ye mat pūchho …

mālik ne banāyā insāṇ ko
insān muhabbat kar baiṭhā
vo ūpar baiṭhā k‌yā jāne
insānoṅ pe k‌yā guzrī hai
dīvānoṅ se ye mat pūchho …