Darpan ko dekhaa, toone jab jab kiyaa singaar

दर्पण को देखा, तूने जब जब किया सिंगार
Work
Year
Language

दर्पण को देखा, तूने जब जब किया सिंगार
फूलों को देखा, तूने जब जब आई बहार
एक बदनसीब हूँ मैं मुझे नहीं देखा एक बार
सूरज की पहली किरनों को, देखा तूने अलसाते हुये
रातों में तारों को देखा, सपनों में खो जाते हुये
यूँ किसी ना किसी बहाने तूने देखा सब संसार
काजल की क़िस्मत क्या कहिये, नैनों में तूने बसाया
आँचल की क़िस्मत क्या कहिये, तूने अंग लगाया है
हसरत ही रही मेरे दिल में बनूँ तेरे गले का हार

darpaṇ ko dekhā, tūne jab jab kiyā siṅgār
phūloṅ ko dekhā, tūne jab jab āī bahār
ek badansīb hūṇ maiṅ mujhe nahīṅ dekhā ek bār
sūraj kī pahlī kirnoṅ ko, dekhā tūne alsāte huye
rātoṅ meṅ tāroṅ ko dekhā, sapnoṅ meṅ kho jāte huye
yūṇ kisī nā kisī bahāne tūne dekhā sab saṅsār
kājal kī qismat kyā kahiye, nainoṅ meṅ tūne basāyā
āṇchal kī qismat kyā kahiye, tūne aṅg lagāyā hai
hasrat hī rahī mere dil meṅ banūṇ tere gale kā hār