Dard-e-dil, dard-e-jigar, dil men jagaayaa aapne

दर्द-ए-दिल, दर्द-ए-जिगर, दिल में जगाया आपने
Work
Year
Language

दर्द-ए-दिल दर्द-ए-जिगर, दिल में जगाया आपने
पहले तो मैं शायर था, आशिक बनाया आपने

आप की मदहोश नज़रे, कर रही है शायरी
ये गज़ल मेरी नहीं, ये गज़ल है आप की
मैने तो बस वो लिखा, जो कुछ लिखाया आप ने

कब कहा, सब खो गयी, जितनी भी थी परछाईयाँ
बुझ गयी यारों की महफ़िल हो गयी तनहाईयाँ
क्या किया शायद कोई परदा गिराया आपने

और थोड़ी देर में बस हम जुदा हो जायेंगे
आप को ढूंढूँगा कैसे, रास्तें खो जायेंगे
नाम तक भी तो नहीं, अपना बताया आप ने

dard-e-dil dard-e-jigar, dil meṅ jagāyā āpne
pahle to maiṅ śhāyar thā, āśhik banāyā āpne

āp kī madhośh nazre, kar rahī hai śhāyrī
ye gazal merī nahīṅ, ye gazal hai āp kī
maine to bas vo likhā, jo kuchh likhāyā āp ne

kab kahā, sab kho gayī, jitnī bhī thī parchhāīyāṇ
bujh gayī yāroṅ kī mahafil ho gayī tanhāīyāṇ
kyā kiyā śhāyad koī pardā girāyā āpne

aur thoṛī der meṅ bas ham judā ho jāyeṅge
āp ko ḍhūṅḍhūṇgā kaise, rāsteṅ kho jāyeṅge
nām tak bhī to nahīṅ, apnā batāyā āp ne