दर लागे दुनिया से बलमा हो, उल्फ़त न बने अफ़साना
ल: ( डर लागे दुनिया से बलमा हो
उल्फ़त न बने अफ़साना ) -2
त: ग़म क्यूँ हो -2
तेरे साथ-साथ तेरा दीवाना
तू दीपक मैं हूँ परवाना
ल: डर लागे दुनिया से बलमा हो
उल्फ़त न बने अफ़साना
ओ
मुझे कर दे न कोई तुझसे जुदा
डरती हूँ बहुत दुनिया से
त: हो ओ
कब होती है दिल से धड़कन जुदा
कम नगमा जुदा बीना से
ल: सुन भोले
सुन भोले सजना हो
दुनिया को नहीं समझाना
त: ग़म क्यूँ हो -2
तेरे साथ-साथ तेरा दीवाना
तू दीपक मैं हूँ परवाना
ल: डर लागे दुनिया से बलमा हो
उल्फ़त न बने अफ़साना
त: हो
आजा सपनों में जीवन यूँ छोड़ दें
बहे जैसे नदी में पानी
ल: ओ
मेरी हिम्मत बढ़ाये रहना सजन
नदिया है बड़ी तूफ़ानी
त: तूफ़ाँ से घबरा मत जाना हो
यूँ ही उल्फ़त की नाव चलाना
ल: सुन बलमा
सुन बलमा
पड़े साथ-साथ चाहे मर जाना
हमें अब तो है प्यार निभाना
त: ग़म क्यूँ हो -2
तेरे साथ-साथ तेरा दीवाना
तू दीपक मैं हूँ परवाना
ल: डर लागे दुनिया से बलमा हो
उल्फ़त न बने अफ़साना
la: ( ḍar lāge duniyā se balmā ho
ulfat na bane afsānā ) -2
ta: ġham kyūṇ ho -2
tere sāth-sāth terā dīvānā
tū dīpak maiṅ hūṇ parvānā
la: ḍar lāge duniyā se balmā ho
ulfat na bane afsānā
o
mujhe kar de na koī tujhse judā
ḍartī hūṇ bahut duniyā se
ta: ho o
kab hotī hai dil se dhaṛkan judā
kam nagmā judā bīnā se
la: sun bhole
sun bhole sajnā ho
duniyā ko nahīṅ samjhānā
ta: ġham kyūṇ ho -2
tere sāth-sāth terā dīvānā
tū dīpak maiṅ hūṇ parvānā
la: ḍar lāge duniyā se balmā ho
ulfat na bane afsānā
ta: ho
ājā sapnoṅ meṅ jīvan yūṇ chhoṛ deṅ
bahe jaise nadī meṅ pānī
la: o
merī himmat baṛhāye rahnā sajan
nadiyā hai baṛī tūfānī
ta: tūfāṇ se ghabrā mat jānā ho
yūṇ hī ulfat kī nāv chalānā
la: sun balmā
sun balmā
paṛe sāth-sāth chāhe mar jānā
hameṅ ab to hai pyār nibhānā
ta: ġham kyūṇ ho -2
tere sāth-sāth terā dīvānā
tū dīpak maiṅ hūṇ parvānā
la: ḍar lāge duniyā se balmā ho
ulfat na bane afsānā