Dagamag dagamag dole naiyaa

दगमग डगमग डोले नैया
Work
Year
Language

डगमग डगमग डोले नैया
पार लगाओ तो जानू खेवैया

चंचल चित को मोह ने घेरा
पग पग पर है पाप का डेरा
लाज रखो जो लाज रखैया
पार लगाओ तो जानू खेवैया

छाया चारों ओर अंधेरा
तुम बिन कौन सहारा मेरा
हाथ पकड़ के बंसी बजैया
पार लगाओ तो जानू खेवैया

भक्‌तों ने तुम को मनाया भजन से
मैं तो रिझाऊँ तुम्हे अँसुवन से
गिरतों को पाँव उठाओ कन्हैया
पार लगाओ तो जानू खेवैया

ḍagamag ḍagamag ḍole naiyā
pār lagāo to jānū khevaiyā

chaṅchal chit ko moh ne gherā
pag pag par hai pāp kā ḍerā
lāj rakho jo lāj rakhaiyā
pār lagāo to jānū khevaiyā

chhāyā chāroṅ or aṅdherā
tum bin kaun sahārā merā
hāth pakaṛ ke baṅsī bajaiyā
pār lagāo to jānū khevaiyā

bhak‌toṅ ne tum ko manāyā bhajan se
maiṅ to rijhāūṇ tumhe aṇsuvan se
girtoṅ ko pāṇv uṭhāo kanhaiyā
pār lagāo to jānū khevaiyā