Daaman na chhuraa

दामन न छुड़ा
Work
Year
Language

दामन न छुड़ा यूँ दूर न कर
रोने के लिये मजबूर न कर
मैं कहती रही वो सुनता रहा
यूँ शीशा-ए--दिल को चूर न कर
मजबूर न कर, ओ यूँ दूर न कर

दिल दिल से बिछड़ने का मंज़र
वो अश्कों का गिरना दामन पर
खामोश नज़र थी अफ़साना
बेदर्द न इस पर भी माना
मैं कहती रही वो सुनता रहा
यूँ शीशा-ए--दिल को चूर न कर
मजबूर न कर, ओ यूँ दूर न कर
दामन न छुड़ा

dāman na chhuṛā yūṇ dūr na kar
rone ke liye majbūr na kar
maiṅ kahtī rahī vo suntā rahā
yūṇ śhīśhā-e--dil ko chūr na kar
majbūr na kar, o yūṇ dūr na kar

dil dil se bichhaṛne kā maṅzar
vo aśhkoṅ kā girnā dāman par
khāmośh nazar thī afsānā
bedard na is par bhī mānā
maiṅ kahtī rahī vo suntā rahā
yūṇ śhīśhā-e--dil ko chūr na kar
majbūr na kar, o yūṇ dūr na kar
dāman na chhuṛā