Churaakar dil ko yoon ... haay meraa dil mujhe vaapas

चुराकर दिल को यूँ ... हाय मेरा दिल मुझे वापस्
Work
Year
Language

चुराकर दिल को यूँ आँखें चुराना किससे सीखा है
ज़रा सी बात पर यूँ रूठ जाना किससे सीखा है

चले जाना तुम दूर बड़े शौक़ से हुज़ूर
हाय मेरा दिल मुझे वापस कर दो
हो मेरा दिल मुझे वापस कर दो

मेरे दिल को चुराकर आओगे तो जा नहीं पाओगे
चोरी-चोरी गए भी तो फिर यहीं आओगे
दिल देके जुदाई मुझे नहीं मंज़ूर
हाय मेरा दिल मुझे …

हो ज़रा ये कह दो तिरछी नज़र से कि हमको ये सताए ना
मैं हूँ कोई ग़ैर तो यह छेड़ मुझे भाए ना
मैने प्रीत लगाई हुआ मुझसे क़सूर
हाय मेरा दिल मुझे …

churākar dil ko yūṇ āṇkheṅ churānā kisse sīkhā hai
zarā sī bāt par yūṇ rūṭh jānā kisse sīkhā hai

chale jānā tum dūr baṛe śhauq se huzūr
hāy merā dil mujhe vāpas kar do
ho merā dil mujhe vāpas kar do

mere dil ko churākar āoge to jā nahīṅ pāoge
chorī-chorī gae bhī to phir yahīṅ āoge
dil deke judāī mujhe nahīṅ maṅzūr
hāy merā dil mujhe …

ho zarā ye kah do tirchhī nazar se ki hamko ye satāe nā
maiṅ hūṇ koī ġhair to yah chheṛ mujhe bhāe nā
maine prīt lagāī huā mujhse qasūr
hāy merā dil mujhe …