Chun chun kartee aaee chiriyaa

चुन चुन करती आई चिड़िया
Year
Language

चुन चुन करती आई चिड़िया
दाल का दाना लाई चिड़िया
मोर भी आया कौवा भी आया
चूहा भी आया बन्दर भी आया
(खौं, खौं, खौं खौं खौं)
चुन चुन करती आई चिड़िया

भूख लगे तो चिड़िया रानी
मूँग की दाल पकाएगी, (दाल पकाएगी - 2)
कौवा रोटी लाएगा लाके उसे खिलाएगा
मोर भी आया कौवा भी आया
चूहा भी आया बन्दर भी आया
(खौं, खौं, खौं खौं खौं)
चुन चुन करती आई चिड़िया

चलते चलते मिलेगा भालू
हम बोलेंगे नाचो कालू, (नाचो कालू - 2)
मुन्ना ढोल बजाएगा, भालू नाच दिखाएगा
मोर भी आया कौवा भी आया
चूहा भी आया बन्दर भी आया
(खौं, खौं, खौं खौं खौं)
चुन चुन करती आई चिड़िया

साथ हमारे चले बराती
मैं तो हूँ मुन्ने का हाथी, मुन्ने का हाथी
सीधे दिल्ली जाऊँगा
तेरी दुल्हनिया लाऊँगा
मोर भी आया कौवा भी आया
चूहा भी आया बन्दर भी आया
(खौं, खौं, खौं खौं खौं)
चुन चुन करती आई चिड़िया

chun chun kartī āī chiṛiyā
dāl kā dānā lāī chiṛiyā
mor bhī āyā kauvā bhī āyā
chūhā bhī āyā bandar bhī āyā
(khauṅ, khauṅ, khauṅ khauṅ khauṅ)
chun chun kartī āī chiṛiyā

bhūkh lage to chiṛiyā rānī
mūṇg kī dāl pakāegī, (dāl pakāegī - 2)
kauvā roṭī lāegā lāke use khilāegā
mor bhī āyā kauvā bhī āyā
chūhā bhī āyā bandar bhī āyā
(khauṅ, khauṅ, khauṅ khauṅ khauṅ)
chun chun kartī āī chiṛiyā

chalte chalte milegā bhālū
ham boleṅge nācho kālū, (nācho kālū - 2)
munnā ḍhol bajāegā, bhālū nāch dikhāegā
mor bhī āyā kauvā bhī āyā
chūhā bhī āyā bandar bhī āyā
(khauṅ, khauṅ, khauṅ khauṅ khauṅ)
chun chun kartī āī chiṛiyā

sāth hamāre chale barātī
maiṅ to hūṇ munne kā hāthī, munne kā hāthī
sīdhe dillī jāūṇgā
terī dulhniyā lāūṇgā
mor bhī āyā kauvā bhī āyā
chūhā bhī āyā bandar bhī āyā
(khauṅ, khauṅ, khauṅ khauṅ khauṅ)
chun chun kartī āī chiṛiyā