Chor jo kare choree to pakaraa jaae

चोर जो करे चोरी तो पकड़ा जाए
Year
Language

चोर जो करे चोरी तो पकड़ा जाए
ज़ंजीरों में ज़ालिम वो जकड़ा जाए
अरे वो जो दिल चुराए फिर क्‌यों न पकड़ा जाए

जिसको कहते हैं तो चितचोर
हो कोई गवाह तो वो पकड़ा जाए
ज़ंजीरों में ज़ालिम वो जकड़ा जाए
अरे वो जो दिल चुराए दुनिया को नज़र न आए
ऐसे चोर पे चले न कोई ज़ोर
चोर जो करे चोरी तो …

कैसे सुनाऊं मैं उसकी कहानी
अच्छा चैन चुराया ओ हो
नींद चुराई चैन चुराया चल के कोई चाल
फिर सपनों में आता होगा वो दीवाना
सूरत है कैसी ज़रा ये तो बताना
क्‌या काला है वो ना ना फिर गोरा होगा हाँ हाँ
गोरा होगा लम्बा होगा बिखरे होंगे बाल हाँ बिखरे बिखरे बाल
हाँ ऐसी चोरी कर जाए कोई मचा सके न शोर
चोर जो करे चोरी तो …

मैं दिल के चोर को पकड़ लिया है
प्यार की ज़ंजीरों में जकड़ लिया है
जेल भेज दूँ ना ना सूली चढ़ा दूँ क्‌या है तुम्हें मंज़ूर
मेरे दिल के चोर को मैं दूंगी सज़ा
वो तड़पेगा मैं देखूंगी फिर आएगा मज़ा
जो बोलूंगी हाँ हाँ करना होगा अच्छा
जो बोलूंगी करना होगा जीना होगा मरना होगा
तो उमर क़ैद करवा दूं दिल से भाग सके न चोर
चोर जो करे चोरी तो …

chor jo kare chorī to pakaṛā jāe
zaṅjīroṅ meṅ zālim vo jakaṛā jāe
are vo jo dil churāe phir k‌yoṅ na pakaṛā jāe

jisko kahte haiṅ to chitchor
ho koī gavāh to vo pakaṛā jāe
zaṅjīroṅ meṅ zālim vo jakaṛā jāe
are vo jo dil churāe duniyā ko nazar na āe
aise chor pe chale na koī zor
chor jo kare chorī to …

kaise sunāūṅ maiṅ uskī kahānī
achchhā chain churāyā o ho
nīṅd churāī chain churāyā chal ke koī chāl
phir sapnoṅ meṅ ātā hogā vo dīvānā
sūrat hai kaisī zarā ye to batānā
k‌yā kālā hai vo nā nā phir gorā hogā hāṇ hāṇ
gorā hogā lambā hogā bikhre hoṅge bāl hāṇ bikhre bikhre bāl
hāṇ aisī chorī kar jāe koī machā sake na śhor
chor jo kare chorī to …

maiṅ dil ke chor ko pakaṛ liyā hai
pyār kī zaṅjīroṅ meṅ jakaṛ liyā hai
jel bhej dūṇ nā nā sūlī chaṛhā dūṇ k‌yā hai tumheṅ maṅzūr
mere dil ke chor ko maiṅ dūṅgī sazā
vo taṛpegā maiṅ dekhūṅgī phir āegā mazā
jo bolūṅgī hāṇ hāṇ karnā hogā achchhā
jo bolūṅgī karnā hogā jīnā hogā marnā hogā
to umar qaid karvā dūṅ dil se bhāg sake na chor
chor jo kare chorī to …