छुपनेवाले सामने आ, छुप छुप के मेरा जी न जला
छुपने वाले सामने आ
छुप छुप के मेरा जी न जला
सूरज से किरन बादल से पवन
कब तलक छुपेगी ये तो बता
छुपने वाले सामने आ …
आखिर तेरे नाज़ की ये
हार नहीं तो और है क्या
दौड़ के आना पास मेरे
प्यार नहीं तो और है क्या
दूर खड़ी हैरान है क्या
दाँतों में यूँ उंगली न दबा
छुपने वाले सामने आ …
आ लिपटी है दिल से मेरे
ज़ुल्फ़ तेरी बल खाई हुई
देख रहा हूँ तेरी नज़र
अपनी नज़र तक आई हुई
गालों पर ज़ुल्फ़ें न गिरा
तू है क़यामत मैं हूँ बला
छुपने वाले सामने आ …
chhupne vāle sāmne ā
chhup chhup ke merā jī na jalā
sūraj se kiran bādal se pavan
kab talak chhupegī ye to batā
chhupne vāle sāmne ā …
ākhir tere nāz kī ye
hār nahīṅ to aur hai kyā
dauṛ ke ānā pās mere
pyār nahīṅ to aur hai kyā
dūr khaṛī hairān hai kyā
dāṇtoṅ meṅ yūṇ uṅglī na dabā
chhupne vāle sāmne ā …
ā lipṭī hai dil se mere
zulf terī bal khāī huī
dekh rahā hūṇ terī nazar
apnī nazar tak āī huī
gāloṅ par zulfeṅ na girā
tū hai qayāmat maiṅ hūṇ balā
chhupne vāle sāmne ā …