Chhup gayaa koee re, door se pukaar ke

छुप गया कोई रे, दूर से पुकार के
Work
Year
Language

छुप गया कोई रे, दूर से पुकार के
दर्द अनोखे हाय, दे गया प्यार के
छुप गया …

आज हैं सूनी सूनी, दिल की ये गलियाँ
बन गईं काँटे मेरी, खुशियों की कलियाँ
प्यार भी खोया मैने, सब कुछ हार के
दर्द अनोखे हाय, दे गया प्यार के
छुप गया …

अँखियों से नींद गई, मनवा से चैन रे
छुप छुप रोए मेरे, खोए खोए नैन रे
हाय यही तो मेरे, दिन थे सिंगार के
दर्द अनोखे हाय, दे गया प्यार के
छुप गया …

chhup gayā koī re, dūr se pukār ke
dard anokhe hāy, de gayā pyār ke
chhup gayā …

āj haiṅ sūnī sūnī, dil kī ye galiyāṇ
ban gaīṅ kāṇṭe merī, khuśhiyoṅ kī kaliyāṇ
pyār bhī khoyā maine, sab kuchh hār ke
dard anokhe hāy, de gayā pyār ke
chhup gayā …

aṇkhiyoṅ se nīṅd gaī, manvā se chain re
chhup chhup roe mere, khoe khoe nain re
hāy yahī to mere, din the siṅgār ke
dard anokhe hāy, de gayā pyār ke
chhup gayā …