Chhum-chhum chalee piyaa kee galee main sapne naye sajaa ke

छुम-छुम चली पिया की गली मैं सपने नये सजा के
Work
Year
Language

( छुम-छुम चली पिया की गली
मैं सपने नये सजा के ) -2
कैसा जादू कर गये साजन
इन नैनन में आ के
छुम-छुम चली पिया की गली
मैं सपने नये सजा के

( धीरे से बोल के, बिना किसी मोल के
ले गया दिल कोई, अंखियों में तौल के ) -2
खोई-खोई डोलूँ मैं तो सुध बिसरा के -2
छुम-छुम चली पिया की गली
मैं सपने नये सजा के

( रितु है बहार की, सोलह सिंगार
कानों में मोरे सहनाई बाजे प्यार की ) -2
दुनिया से रखूँ कैसे प्रीत छुपा के -2
छुम-छुम चली पिया की गली
मैं सपने नये सजा के
कैसा जादू कर गये साजन
इन नैनन में आ के
छुम-छुम चली पिया की गली
मैं सपने नये सजा के

( chhum-chhum chalī piyā kī galī
maiṅ sapne naye sajā ke ) -2
kaisā jādū kar gaye sājan
in nainan meṅ ā ke
chhum-chhum chalī piyā kī galī
maiṅ sapne naye sajā ke

( dhīre se bol ke, binā kisī mol ke
le gayā dil koī, aṅkhiyoṅ meṅ taul ke ) -2
khoī-khoī ḍolūṇ maiṅ to sudh bisrā ke -2
chhum-chhum chalī piyā kī galī
maiṅ sapne naye sajā ke

( ritu hai bahār kī, solah siṅgār
kānoṅ meṅ more sahnāī bāje pyār kī ) -2
duniyā se rakhūṇ kaise prīt chhupā ke -2
chhum-chhum chalī piyā kī galī
maiṅ sapne naye sajā ke
kaisā jādū kar gaye sājan
in nainan meṅ ā ke
chhum-chhum chalī piyā kī galī
maiṅ sapne naye sajā ke