Chhotee see ye duniyaa, pahchaane raaste hain

छोटी सी ये दुनिया, पहचाने रासते हैं
Work
Year
Language

छोटी सी ये दुनिया, पहचाने रस्तें हैं
तुम कभी तो मिलोगे, कहीं तो मिलोगे तो पूछेंगे हाल
छोटी सी …

हम तो ये समझेंगे हमने एक पत्थर को पूजा
लेकिन तुमको अपने जैसा नहीं मिलेगे दूजा, नहीं मिलेगा दूजा
छोटी सी ये दुनिया …

सीखा नहीं हमारे दिल ने प्यार में धीरज खोना
आग में जल के भी जो निखारे, है वोही सच्चा सोना, है वोही सच्चा सोना
छोटी सी ये दुनिया …

दिल की दौलत मत ठुकराओ, देखो पछताओगे
आज चले जाते हो जैसे, लौट के भी आओगे, लौट के भी आओगे
छोटी सी ये दुनिया …

chhoṭī sī ye duniyā, pahchāne rasteṅ haiṅ
tum kabhī to miloge, kahīṅ to miloge to pūchheṅge hāl
chhoṭī sī …

ham to ye samjheṅge hamne ek patthar ko pūjā
lekin tumko apne jaisā nahīṅ milege dūjā, nahīṅ milegā dūjā
chhoṭī sī ye duniyā …

sīkhā nahīṅ hamāre dil ne pyār meṅ dhīraj khonā
āg meṅ jal ke bhī jo nikhāre, hai vohī sachchā sonā, hai vohī sachchā sonā
chhoṭī sī ye duniyā …

dil kī daulat mat ṭhukrāo, dekho pachhtāoge
āj chale jāte ho jaise, lauṭ ke bhī āoge, lauṭ ke bhī āoge
chhoṭī sī ye duniyā …