Chhote chhote taaron se ... aa ree aa ree aa nindiyaa

छोटे छोटे तारों से ... आ री आ री आ निंदिया
Work
Year
Language

छोटे छोटे तारों से गीली गीली पलकों पर
गीली गीली पलकों पर मीठे मीठे सपनों में
आ री आ री आ निंदिया
आ री आ री आ …

नदियों से लाया हूँ मौजों के धारे
अम्बर से लाया हूँ चाँद और तारे
तुझको सुलाऊं तू सो जा सो जा सजनियां
आजा री निंदिया …

बगियन की कलियां ये तेरी अंखियां
इनमें बसा दूं मैं अपनी निंदिया
चंदा सुलाए तू सो जा सो जा चंदनियां
आजा री निंदिया …

chhoṭe chhoṭe tāroṅ se gīlī gīlī palkoṅ par
gīlī gīlī palkoṅ par mīṭhe mīṭhe sapnoṅ meṅ
ā rī ā rī ā niṅdiyā
ā rī ā rī ā …

nadiyoṅ se lāyā hūṇ maujoṅ ke dhāre
ambar se lāyā hūṇ chāṇd aur tāre
tujhko sulāūṅ tū so jā so jā sajniyāṅ
ājā rī niṅdiyā …

bagiyan kī kaliyāṅ ye terī aṅkhiyāṅ
inmeṅ basā dūṅ maiṅ apnī niṅdiyā
chaṅdā sulāe tū so jā so jā chaṅdniyāṅ
ājā rī niṅdiyā …