Chhoro chhoro jee piyaa meraa toro naa jiyaa

छोड़ो छोड़ो जी पिया मेरा तोड़ो ना जिया
Year
Language

ल: छोड़ो छोड़ो जी पिया मेरा तोड़ो ना जिया -2
हमें तुमसे गरज़ ( तुम्हें हमसे ) -2

कभी रूठ गए तुम कभी रूठ गए हम
प्यार के मज़े हैं यही प्यार की क़सम
बिनती करूँ पैयाँ पड़ूँ मान लो बलम हो मान लो बलम
जिया भर-भर आए मेरा ग़म से
छोड़ो छोड़ो जी पिया …

तुम्हें जान गए हम पिया हमें ना बनाओ
जाओ ये अदाएँ किसी और को दिखाओ
देखो सजन दिल की लगन हमसे ना छुपाओ -2
मेरी दुनिया रंगीली तेरे दम से
छोड़ो छोड़ो जी पिया …

त: हो तुमने मान ली ख़ता रहूँ फिर मैं क्‌यूँ ख़फ़ा
माफ़ किया मैने तुम्हें ओ जी बेवफ़ा
दिल में कोई बात नहीं प्यार के सिवा हो प्यार के सिवा
हमें तुमसे गरज़ तुम्हें हमसे
ल: छोड़ो छोड़ो जी पिया …

la: chhoṛo chhoṛo jī piyā merā toṛo nā jiyā -2
hameṅ tumse garaz ( tumheṅ hamse ) -2

kabhī rūṭh gae tum kabhī rūṭh gae ham
pyār ke maze haiṅ yahī pyār kī qasam
bintī karūṇ paiyāṇ paṛūṇ mān lo balam ho mān lo balam
jiyā bhar-bhar āe merā ġham se
chhoṛo chhoṛo jī piyā …

tumheṅ jān gae ham piyā hameṅ nā banāo
jāo ye adāeṇ kisī aur ko dikhāo
dekho sajan dil kī lagan hamse nā chhupāo -2
merī duniyā raṅgīlī tere dam se
chhoṛo chhoṛo jī piyā …

ta: ho tumne mān lī khatā rahūṇ phir maiṅ k‌yūṇ khafā
māf kiyā maine tumheṅ o jī bevafā
dil meṅ koī bāt nahīṅ pyār ke sivā ho pyār ke sivā
hameṅ tumse garaz tumheṅ hamse
la: chhoṛo chhoṛo jī piyā …