Chhorie gussaa huzoor aisee naaraazee bhee k‌yaa

छोड़िए गुस्सा हुज़ूर ऐसी नाराज़ी भी क्‌या
Work
Year
Language

छोड़िए गुस्सा हुज़ूर ऐसी नाराज़ी भी क्‌या
हमने तो जो कुछ किया दिल के कहने पर किया
आपकी मर्ज़ी अब जो चाहे दीजिए सज़ा

सीने के पार कर दो तिरछी नज़र का तीर
हम चुप हैं लो पहना भी दो ज़ुल्फ़ों की ये ज़ंजीर
यूँ भी घायल कर गई आपकी हर एक अदा

गालों पे ये लाली बदला हुआ तेवर
क्‌या ख़ूब ये तस्वीर है तुमको नहीं ख़बर
अब उधर मुँह फेर के मुस्करा दीजिए ज़रा

इस बेज़बान दिल को रख लीजिए ग़ुलाम
हम थे सही अब आप भी हो जाएँगे बदनाम
बस में कर के देखिए अब ये दिल है आपका

chhoṛie gussā huzūr aisī nārāzī bhī k‌yā
hamne to jo kuchh kiyā dil ke kahne par kiyā
āpkī marzī ab jo chāhe dījie sazā

sīne ke pār kar do tirchhī nazar kā tīr
ham chup haiṅ lo pahnā bhī do zulfoṅ kī ye zaṅjīr
yūṇ bhī ghāyal kar gaī āpkī har ek adā

gāloṅ pe ye lālī badlā huā tevar
k‌yā khūb ye tasvīr hai tumko nahīṅ khabar
ab udhar muṇh pher ke muskrā dījie zarā

is bezbān dil ko rakh lījie ġhulām
ham the sahī ab āp bhī ho jāeṇge badnām
bas meṅ kar ke dekhie ab ye dil hai āpkā