Chhor do aanchal jamaanaa kyaa kahegaa

छोड़ दो आँचल जमाना क्या कहेगा
Year
Language

छोड़ दो आँचल जमाना क्या कहेगा
इन अदाओं का जमाना भी है दीवाना, दीवाना क्या कहेगा ?
छोड़ दो आँचल जमाना क्या कहेगा

मैं चली अब खूब छेड़ो प्यार के अफ़साने
कुछ मौसम है दीवाना, कुछ तुम भी हो दीवाने
ज़रा सुनना जान-ए-तमन्ना, ओ ज़रा सुनना जान-ए-तमन्ना
इतना तो सोच यह मौसम सुहाना क्या कहेगा
छोड़ दो आँचल जमाना क्या कहेगा

यूँ ना देखो जाग जाये प्यार की अंगड़ाई
ये रस्ता ये तनहाई, लो दिल ने ठोकर खाई
यही दिन हैं मस्ती के सीन हैं
किसको ये होश है अपना बेगाना क्या कहेगा
छोड़ दो आँचल जमाना क्या कहेगा

यह बहारे यह फुवारे यह बरसता सावन
थरथर काँपे है तनमन, मेरी बैय्या धर लो साजन
अजी आना दिल मे समाना
एक दिल एक जान है हम तुम, जमाना क्या कहेगा
छोड़ दो आँचल जमाना क्या कहेगा

chhoṛ do āṇchal jamānā kyā kahegā
in adāoṅ kā jamānā bhī hai dīvānā, dīvānā kyā kahegā ?
chhoṛ do āṇchal jamānā kyā kahegā

maiṅ chalī ab khūb chheṛo pyār ke afsāne
kuchh mausam hai dīvānā, kuchh tum bhī ho dīvāne
zarā sunnā jān-e-tamannā, o zarā sunnā jān-e-tamannā
itnā to soch yah mausam suhānā kyā kahegā
chhoṛ do āṇchal jamānā kyā kahegā

yūṇ nā dekho jāg jāye pyār kī aṅgaṛāī
ye rastā ye tanhāī, lo dil ne ṭhokar khāī
yahī din haiṅ mastī ke sīn haiṅ
kisko ye hośh hai apnā begānā kyā kahegā
chhoṛ do āṇchal jamānā kyā kahegā

yah bahāre yah phuvāre yah barastā sāvan
tharthar kāṇpe hai tanaman, merī baiyyā dhar lo sājan
ajī ānā dil me samānā
ek dil ek jān hai ham tum, jamānā kyā kahegā
chhoṛ do āṇchal jamānā kyā kahegā