छोड दे सारी दुनिया किसी के लिए
कहाँ चला ऐ मेरे जोगी, जीवन से तू भाग के
किसी एक दिल के कारण, यूँ सारी दुनिया त्याग के
छोड़ दे सारी दुनिया किसी के लिए
ये मुनासिब नहीं आदमी के लिए
प्यार से भी जरुरी कई काम हैं
प्यार सबकुछ नहीं जिन्दगी के लिए
तन से तन का मिलन हो न पाया तो क्या
मन से मन का मिलन कोई कम तो नहीं
खुशबू आती रहें दूर ही से सही
सामने हो चमन कोई कम तो नहीं
चाँद मिलता नहीं सबको संसार में
है दिया ही बहोत रोशनी के लिए
कितनी हसरत से तकती है कलियाँ तुम्हे
क्यों बहारों को फिर से बुलाते नहीं
एक दुनिया उजड़ ही गई है तो क्या
दूसरा तुम जहां क्यों बसाते नहीं
दिल न चाहे भी तो साथ संसार के
चलना पड़ता है सब की खुशी के लिए
kahāṇ chalā ai mere jogī, jīvan se tū bhāg ke
kisī ek dil ke kāraṇ, yūṇ sārī duniyā tyāg ke
chhoṛ de sārī duniyā kisī ke lie
ye munāsib nahīṅ ādmī ke lie
pyār se bhī jarurī kaī kām haiṅ
pyār sabkuchh nahīṅ jindgī ke lie
tan se tan kā milan ho na pāyā to kyā
man se man kā milan koī kam to nahīṅ
khuśhbū ātī raheṅ dūr hī se sahī
sāmne ho chaman koī kam to nahīṅ
chāṇd miltā nahīṅ sabko saṅsār meṅ
hai diyā hī bahot rośhnī ke lie
kitnī hasrat se taktī hai kaliyāṇ tumhe
kyoṅ bahāroṅ ko phir se bulāte nahīṅ
ek duniyā ujaṛ hī gaī hai to kyā
dūsrā tum jahāṅ kyoṅ basāte nahīṅ
dil na chāhe bhī to sāth saṅsār ke
chalnā paṛtā hai sab kī khuśhī ke lie