Chham chham baaje re paayliyaa

छम छम बाजे रे पायलिया
Year
Language

छम-छम बाजे रे पायलिया
राह चलत लचके पनिहारी
छलके गगरिया
छम छम बाजे रे पायलिया …

गोरे बदन पर भीगी सारी
और लगे सुन्दर ये नारी
मोती बन-बन टपके पानी
भीगत जाये डगरिया
छम छम बाजे रे पायलिया …

चन्द्रमुखी जब लट बिखराये
जग सारा ये धोखा खाये
कोई कहे लो सावन आया
आयी कारी बदरिया
छम छम बाजे रे पायलिया …

मुखड़े पर आँचल मलमल का
या कोई खिलता फूल कमल का
आयी न जाने कौन नगर से
जाये कौन नगरिया
छम छम बाजे रे पायलिया …

chham-chham bāje re pāyliyā
rāh chalat lachke panihārī
chhalke gagriyā
chham chham bāje re pāyliyā …

gore badan par bhīgī sārī
aur lage sundar ye nārī
motī ban-ban ṭapke pānī
bhīgat jāye ḍagriyā
chham chham bāje re pāyliyā …

chandrmukhī jab laṭ bikhrāye
jag sārā ye dhokhā khāye
koī kahe lo sāvan āyā
āyī kārī badriyā
chham chham bāje re pāyliyā …

mukhaṛe par āṇchal malmal kā
yā koī khiltā phūl kamal kā
āyī na jāne kaun nagar se
jāye kaun nagriyā
chham chham bāje re pāyliyā …