Chhalkaae jaam, aaeee aap kee aankhon ke naam

छलकाए जाम, आईए आप की आँखों के नाम
Year
Language

छलकाये जाम, आईये आप की आँखों के नाम, होठों के नाम

फूल जैसे तन पे जलवे ये रंग-ओ-बू के
आज जाम-ए-मय उठे इन होठों को छू के
लचकाईये शाख-ए-बदन, महाकाईये ज़ुल्फों की शाम

आप ही का नाम लेकर पी है सभी ने
आप पर धड़क रहे हैं प्यालों के सीने
यहाँ अजनबी कोई नहीं, ये है आपकी महफ़िल तमाम

कौन हर किसीकी बाहें बाहों में डाल ले
जो नज़र नशा पिलाए, वो ही संभाल ले
दुनिया को हो औरों की धून, हमको तो है साकी से काम

chhalkāye jām, āīye āp kī āṇkhoṅ ke nām, hoṭhoṅ ke nām

phūl jaise tan pe jalve ye raṅg-o-bū ke
āj jām-e-may uṭhe in hoṭhoṅ ko chhū ke
lachkāīye śhākh-e-badan, mahākāīye zulphoṅ kī śhām

āp hī kā nām lekar pī hai sabhī ne
āp par dhaṛak rahe haiṅ pyāloṅ ke sīne
yahāṇ ajanbī koī nahīṅ, ye hai āpkī mahafil tamām

kaun har kisīkī bāheṅ bāhoṅ meṅ ḍāl le
jo nazar naśhā pilāe, vo hī saṅbhāl le
duniyā ko ho auroṅ kī dhūn, hamko to hai sākī se kām