Chhaaee birhaa kee raat moraa tarpe jiyaa

छाई बिरहा की रात मोरा तड़पे जिया
Work
Year
Language

( छाई बिरहा की रात
मोरा तड़पे जिया
मोसे रूठे पिया
कोई मन का सहारा नहीं
हो कोई मन का सहारा नहीं ) -2

( पल भर में टूट गये सपनों के मोती
आँसू में डूब गई नैनों की ज्योती ) -2
नैनों की ज्योती
सूने-सूने से हैं आज
मेरे आशा के द्वार
नइया कैसे लगे पार
जब सामने किनारा नहीं
हो कोई मन का सहारा नहीं

( मन का सिन्गार मेरा किसने है छीना
हाथों से छूट गई आशा की बीना ) -2
आशा की बीना
खोई-खोई सी है आज
मेरे जीवन की प्रीत
गऊँ रो-रो के ये गीत
मेरे नैनों का तारा नहीं
हो कोई मन का सहारा नहीं

छाई बिरहा की रात
मोरा तड़पे जिया
मोसे रूठे पिया
कोई मन का सहारा नहीं
हो कोई मन का सहारा नहीं

( chhāī birhā kī rāt
morā taṛpe jiyā
mose rūṭhe piyā
koī man kā sahārā nahīṅ
ho koī man kā sahārā nahīṅ ) -2

( pal bhar meṅ ṭūṭ gaye sapnoṅ ke motī
āṇsū meṅ ḍūb gaī nainoṅ kī jyotī ) -2
nainoṅ kī jyotī
sūne-sūne se haiṅ āj
mere āśhā ke dvār
naiyā kaise lage pār
jab sāmne kinārā nahīṅ
ho koī man kā sahārā nahīṅ

( man kā singār merā kisne hai chhīnā
hāthoṅ se chhūṭ gaī āśhā kī bīnā ) -2
āśhā kī bīnā
khoī-khoī sī hai āj
mere jīvan kī prīt
gaūṇ ro-ro ke ye gīt
mere nainoṅ kā tārā nahīṅ
ho koī man kā sahārā nahīṅ

chhāī birhā kī rāt
morā taṛpe jiyā
mose rūṭhe piyā
koī man kā sahārā nahīṅ
ho koī man kā sahārā nahīṅ