Chane zor garam baaboo main laayaa mazedaar

चने ज़ोर गरम बाबू मैं लाया मज़ेदार्
Work
Year
Language

Pअर्त ई

( चने ज़ोर ग़रम बाबू मैं लाया मज़ेदार
चने ज़ोर ग़रम ) -2

मेरे चने हैं चटपटे भैया और बड़े लासानी
और कैसे चाव से खाते देखो राम और रमजानी
और चुन्नू मुन्नू की जबान भी हो गई पानी-पानी
और कहें कबीर सुनो भई साधो छुनक गुरू की बानी

( चने ज़ोर ग़रम बाबू मैं लाया मज़ेदार
चने ज़ोर ग़रम ) -2

अरे मदरसे का जीवन तो चंद दिनों का ठाठ
और पढ़-लिख कर सब चल दोगे तुम अपनी-अपनी बाट
फिर कोई तुम में होगा अफ़सर कोई गवर्नर लाट
तब मैं आऊँगा दफ़्तर तुमरे
मैं आऊँगा दफ़्तर तुमरे लिये चने की चाट

( चने ज़ोर ग़रम बाबू मैं लाया मज़ेदार
चने ज़ोर ग़रम ) -2

चने ज़ोर ग़रम बाबू मैं लाया मज़ेदार
चने ज़ोर ग़रम

मेरा चना बना है आला जिसमें डाला ग़रम-मसाला
चखते जाना जी तुम लाला ऐसा हूँ मैं दिल्ली-वाला
इनका स्वाद है बड़ा निराला

चने ज़ोर ग़रम बाबू मैं लाया मज़ेदार
चने ज़ोर ग़रम

आई चने की बहार खाते जाना तुम सरकार
मेरे चने जायकेदार
अगर तुमको न होय एतबार तो मैं भी कहता हूँ ललकार

चने ज़ोर ग़रम बाबू मैं लाया मज़ेदार
चने ज़ोर ग़रम

देख लो मेरा ये दरबार जहाँ पर खड़े सिलसिलेवार
रियासत भर के सब सरदार एक से एक सभी हुसियार

किड्स कोरस: एक से एक सभी हुसियार

ये देखो मेरे सूबेदार ये देखो मेरा तहसिलदार
यही हैं मेरे थानेदार

किड्स कोरस: एक से एक सभी हुसियार

और ये बड़े सिपहसलार बानर-सेना के सरदार

( चने ज़ोर ग़रम बाबू मैं लाया मज़ेदार
चने ज़ोर ग़रम ) -2

Part ī

( chane zor ġharam bābū maiṅ lāyā mazedār
chane zor ġharam ) -2

mere chane haiṅ chaṭapṭe bhaiyā aur baṛe lāsānī
aur kaise chāv se khāte dekho rām aur ramjānī
aur chunnū munnū kī jabān bhī ho gaī pānī-pānī
aur kaheṅ kabīr suno bhaī sādho chhunak gurū kī bānī

( chane zor ġharam bābū maiṅ lāyā mazedār
chane zor ġharam ) -2

are madarse kā jīvan to chaṅd dinoṅ kā ṭhāṭh
aur paṛh-likh kar sab chal doge tum apnī-apnī bāṭ
phir koī tum meṅ hogā afsar koī gavarnar lāṭ
tab maiṅ āūṇgā daftar tumre
maiṅ āūṇgā daftar tumre liye chane kī chāṭ

( chane zor ġharam bābū maiṅ lāyā mazedār
chane zor ġharam ) -2

chane zor ġharam bābū maiṅ lāyā mazedār
chane zor ġharam

merā chanā banā hai ālā jismeṅ ḍālā ġharam-masālā
chakhte jānā jī tum lālā aisā hūṇ maiṅ dillī-vālā
inkā svād hai baṛā nirālā

chane zor ġharam bābū maiṅ lāyā mazedār
chane zor ġharam

āī chane kī bahār khāte jānā tum sarkār
mere chane jāykedār
agar tumko na hoy etbār to maiṅ bhī kahtā hūṇ lalkār

chane zor ġharam bābū maiṅ lāyā mazedār
chane zor ġharam

dekh lo merā ye darbār jahāṇ par khaṛe silsilevār
riyāsat bhar ke sab sardār ek se ek sabhī husiyār

kiḍs koras: ek se ek sabhī husiyār

ye dekho mere sūbedār ye dekho merā tahsildār
yahī haiṅ mere thānedār

kiḍs koras: ek se ek sabhī husiyār

aur ye baṛe sipahaslār bānar-senā ke sardār

( chane zor ġharam bābū maiṅ lāyā mazedār
chane zor ġharam ) -2