Chandaa maamaa bole ... too so jaa re

चन्दा मामा बोले ... तू सो जा रे
Year
Language

( चन्दा मामा बोले, तारे भी बोले
नज़ारे भी बोले, तू सो जा रे ) -3

नहीं सोये रे, काहे रोये रे, ओ मुन्ना
चन्दा मामा बोले, तारे भी बोले
हम सारे बोले, तू सो जा रे, तू सो जा रे

अरे देखे काहे जुल्मी चोरी-चोरी
तेरे लिये गाती हूँ मैं लोरी
हाय फँस गई मेरी जान कहाँ ये आके
पड़ गई कैसी हाय गले में डोरी
दिल घबराये काहे तड़पाये ओ मुन्ना

चन्दा मामा बोले, तारे भी बोले
नज़ारे भी बोले, तू सो जा रे, हाँ तू सो जा रे

मैं तो जागी हूँ दिवानी हो के
क्‌यूँ फिर सबकी नींद उढ़ाये रो के
दिन भर तो चुपचाप रहा तू प्यारे
ख़ूब निकाले अब रोने के मौके
मेरी तौबा रे, क्‌या होगा रे, ओ मुन्ना

चन्दा मामा बोले, तारे भी बोले
नज़ारे भी बोले, तू सो जा रे
चन्दा मामा बोले, तारे भी बोले
हम सारे बोले, तू सो जा रे
हाँ तू सो जा रे -2

( chandā māmā bole, tāre bhī bole
nazāre bhī bole, tū so jā re ) -3

nahīṅ soye re, kāhe roye re, o munnā
chandā māmā bole, tāre bhī bole
ham sāre bole, tū so jā re, tū so jā re

are dekhe kāhe julmī chorī-chorī
tere liye gātī hūṇ maiṅ lorī
hāy phṇs gaī merī jān kahāṇ ye āke
paṛ gaī kaisī hāy gale meṅ ḍorī
dil ghabrāye kāhe taṛpāye o munnā

chandā māmā bole, tāre bhī bole
nazāre bhī bole, tū so jā re, hāṇ tū so jā re

maiṅ to jāgī hūṇ divānī ho ke
k‌yūṇ phir sabkī nīṅd uṛhāye ro ke
din bhar to chupchāp rahā tū pyāre
khūb nikāle ab rone ke mauke
merī taubā re, k‌yā hogā re, o munnā

chandā māmā bole, tāre bhī bole
nazāre bhī bole, tū so jā re
chandā māmā bole, tāre bhī bole
ham sāre bole, tū so jā re
hāṇ tū so jā re -2