Chalo chalen maan sapnon ke gaanv men

चलो चलें माँ सपनों के गाँव में
Work
Year
Language

चलो चलें माँ सपनों के गाँव में
काँटों से दूर कहीं फूलों की छाँव में
चलो चलें माँ …

हो रहे इशारे रेशमी घटाओं में
चलो चलें माँ …

आओ चलें हम एक साथ वहाँ
दुख न जहां कोई ग़म न जहाँ
आज है निमंत्रण सन-सन हवाओं में
चलो चलें माँ …

रहना मेरे संग माँ हर दम
ऐसा न हो कि बिछड़ जाएँ हम
घूमना है हमको दूर की दिशाओं में
चलो चलें माँ …

chalo chaleṅ māṇ sapnoṅ ke gāṇv meṅ
kāṇṭoṅ se dūr kahīṅ phūloṅ kī chhāṇv meṅ
chalo chaleṅ māṇ …

ho rahe iśhāre reśhmī ghaṭāoṅ meṅ
chalo chaleṅ māṇ …

āo chaleṅ ham ek sāth vahāṇ
dukh na jahāṅ koī ġham na jahāṇ
āj hai nimaṅtraṇ san-san havāoṅ meṅ
chalo chaleṅ māṇ …

rahnā mere saṅg māṇ har dam
aisā na ho ki bichhaṛ jāeṇ ham
ghūmnā hai hamko dūr kī diśhāoṅ meṅ
chalo chaleṅ māṇ …