Chalee pee ko milan ban than ke dulhan

चली पी को मिलन बन ठन के दुल्हन्
Work
Year
Language

चली पी को मिलन बन ठन के दुल्हन
झन झननन पायल गावत है
अब काहे को देर करो री सखी
मोरा मैके में जिया घबरावत है

मैं तो बाबुल से मुख मोड़ चली
वीरन संग नाता तोड़ चली
उस छोर कभी जा के री सखी
कोई लौट के फिर नहीं आवत है

कब दीप जले बिन बाती के
कब राह कटे बिन साथी के
जि सागर से बिछड़े नदिया
उस सागर में मिल जावत है

chalī pī ko milan ban ṭhan ke dulhan
jhan jhananan pāyal gāvat hai
ab kāhe ko der karo rī sakhī
morā maike meṅ jiyā ghabrāvat hai

maiṅ to bābul se mukh moṛ chalī
vīran saṅg nātā toṛ chalī
us chhor kabhī jā ke rī sakhī
koī lauṭ ke phir nahīṅ āvat hai

kab dīp jale bin bātī ke
kab rāh kaṭe bin sāthī ke
ji sāgar se bichhaṛe nadiyā
us sāgar meṅ mil jāvat hai