Chalee ban ke dulhan ... moraa maike men jee ghabraavat hai

चली बन के दुल्हन ... मोरा मैके में जी घबरावत है
Year
Language

चली बन के दुल्हन उनसे लागी लगन मोरा मैके में जी घबरावत है
मोरा माने न मन हैं द्वारे सजन मोरा मैके में जी घबरावत है
चली बन के दुल्हन …

मलके मेहंदी मैं सोलह सिंगार करूँ और सिंदूर से अपनी माँग भरूँ
टीका माथे पे मोहे सुहावत है मोरा मैके में जी घबरावत है
चली बन के दुल्हन …

दूर का है सफ़र कोई साथी नहीं है अकेली दुल्हन कोई बाराती नहीं
मोहे जाने में अब भय आवत है मोरा मैके में जी घबरावत है
चली बन के दुल्हन …

शादियाने कहीं सब बजाते चलें गीत पी के मिलन के सुनाते चलें
डोला ससुराल को मोरा जावत है मोरा मैके में जी घबरावत है
चली बन के दुल्हन …

chalī ban ke dulhan unse lāgī lagan morā maike meṅ jī ghabrāvat hai
morā māne na man haiṅ dvāre sajan morā maike meṅ jī ghabrāvat hai
chalī ban ke dulhan …

malke mehaṅdī maiṅ solah siṅgār karūṇ aur siṅdūr se apnī māṇg bharūṇ
ṭīkā māthe pe mohe suhāvat hai morā maike meṅ jī ghabrāvat hai
chalī ban ke dulhan …

dūr kā hai safar koī sāthī nahīṅ hai akelī dulhan koī bārātī nahīṅ
mohe jāne meṅ ab bhay āvat hai morā maike meṅ jī ghabrāvat hai
chalī ban ke dulhan …

śhādiyāne kahīṅ sab bajāte chaleṅ gīt pī ke milan ke sunāte chaleṅ
ḍolā sasurāl ko morā jāvat hai morā maike meṅ jī ghabrāvat hai
chalī ban ke dulhan …