Chale pavan kee chaal

चले पवन की चाल्
Work
Year
Language

चले पवन की चाल, जग में चले पवन की चाल
यही चाल है जग सेवा का यही जीवन सुखपाल
हो चले पवन की चाल …

इस नगरी की डगर-डगर में
लाखों हैं जंजाल
सख़्ती नरमी सर्दी गर्मी
एक साँचे में ढाल
हो चले पवन की चाल, जग में …

दुःख का नाश हो सुख का पालन
दोनों बोझ सम्भाल
चुभते काँटे पिस पिस जाए
फूल न हो पामाल
चले पवन की चाल, जग में …

कट न सके यह लम्बा रस्ता
कटे हज़ारों साल
जहाँ पहुँचने पर दम टूटे
है, वही काल अकाल
चले पवन की चाल, जग में …

chale pavan kī chāl, jag meṅ chale pavan kī chāl
yahī chāl hai jag sevā kā yahī jīvan sukhpāl
ho chale pavan kī chāl …

is nagrī kī ḍagar-ḍagar meṅ
lākhoṅ haiṅ jaṅjāl
sakhtī narmī sardī garmī
ek sāṇche meṅ ḍhāl
ho chale pavan kī chāl, jag meṅ …

duḥakh kā nāśh ho sukh kā pālan
donoṅ bojh sambhāl
chubhte kāṇṭe pis pis jāe
phūl na ho pāmāl
chale pavan kī chāl, jag meṅ …

kaṭ na sake yah lambā rastā
kaṭe hazāroṅ sāl
jahāṇ pahuṇchne par dam ṭūṭe
hai, vahī kāl akāl
chale pavan kī chāl, jag meṅ …