Chale jaanaa zaraa thahro kisee kaa dam nikaltaa hai

चले जाना ज़रा ठहरो किसी का दम निकलता है
Year
Language

मु: चले जाना ज़रा ठहरो किसी का दम निकलता है
ये मंज़र देखकर जाना
शा: चले जाना ज़रा …

मु: अभी आए हो बैठो तो ये मौसम भी सुहाना है
अभी तो हाल-ए-दिल तुमको निगाहों से सुनाना है
नज़र प्यासी ये दिल प्यासा
किसी का दम …

शा: हसीं झरनों के साये में अकेला छोड़ जाते हो
हमारे दिल को आख़िर किसलिए तुम तोड़ जाते हो
ज़रा दम लो कहा मानो
किसी का दम …

मु: हमारी जान हो तुम भी अगर चल दीं तो क्‌या होगा
तुम्हारे बिन बहारों में ख़ुशी क्‌या है मज़ा क्‌या है
ओ जान-ए-मन न जाओ तुम
किसी का दम …

शा: क़सम खाती हूँ मैं अपनी तुम्हें अब ना सताऊँगी
तुम्हारी बात जो भी हो वही मैं मान जाऊँगी
भरी आँखें झुकी पलकें
किसी का दम …
दो: चले जाना ज़रा …

mu: chale jānā zarā ṭhahro kisī kā dam nikaltā hai
ye maṅzar dekhkar jānā
śhā: chale jānā zarā …

mu: abhī āe ho baiṭho to ye mausam bhī suhānā hai
abhī to hāl-e-dil tumko nigāhoṅ se sunānā hai
nazar pyāsī ye dil pyāsā
kisī kā dam …

śhā: hasīṅ jharnoṅ ke sāye meṅ akelā chhoṛ jāte ho
hamāre dil ko ākhir kislie tum toṛ jāte ho
zarā dam lo kahā māno
kisī kā dam …

mu: hamārī jān ho tum bhī agar chal dīṅ to k‌yā hogā
tumhāre bin bahāroṅ meṅ khuśhī k‌yā hai mazā k‌yā hai
o jān-e-man na jāo tum
kisī kā dam …

śhā: qasam khātī hūṇ maiṅ apnī tumheṅ ab nā satāūṇgī
tumhārī bāt jo bhī ho vahī maiṅ mān jāūṇgī
bharī āṇkheṅ jhukī palkeṅ
kisī kā dam …
do: chale jānā zarā …