Chal ur jaa re panchhee ki ab ye desh huaa begaanaa

चल उड़ जा रे पंछी कि अब ये देश हुआ बेगाना
Work
Year
Language

चल उड़ जा रे पंछी (2) कि अब ये देश हुआ बेगाना
चल उड़ जा रे पंछी …

खतम हुए दिन उस डाली के जिस पर तेरा बसेरा था
आज यहाँ और कल हो वहाँ ये जोगी वाला फेरा था
सदा रहा है इस दुनिया में किसका आबू-दाना
चल उड़ जा रे पंछी …

तूने तिनका-तिनका चुन कर, नगरी एक बसाई
बारिश में तेरी भीगी काया, धूप में गरमी छाई
ग़म ना कर जो तेरी मेहनत तेरे काम ना आई
अच्छा है कुछ ले जाने से देकर ही कुछ जाना
चल उड़ जा रे पंछी …

भूल जा अब वो मस्त हवा वो उड़ना डाली-डाली
जब आँख की काँटा बन गई, चाल तेरी मतवाली
कौन भला उस बाग को पूछे, हो ना जिसका माली
तेरी क़िस्मत में लिखा है जीते जी मर जाना
चल उड़ जा रे पंछी …

रोते हैं वो पँख-पखेरू साथ तेरे जो खेले
जिनके साथ लगाये तूने अरमानों के मेले
भीगी आँखों से ही उनकी, आज दुआयें ले ले
किसको पता अब इस नगरी में कब हो तेरा आना
चल उड़ जा रे पंछी …

chal uṛ jā re paṅchhī (2) ki ab ye deśh huā begānā
chal uṛ jā re paṅchhī …

khatam hue din us ḍālī ke jis par terā baserā thā
āj yahāṇ aur kal ho vahāṇ ye jogī vālā pherā thā
sadā rahā hai is duniyā meṅ kiskā ābū-dānā
chal uṛ jā re paṅchhī …

tūne tinkā-tinkā chun kar, nagrī ek basāī
bāriśh meṅ terī bhīgī kāyā, dhūp meṅ garmī chhāī
ġham nā kar jo terī mehnat tere kām nā āī
achchhā hai kuchh le jāne se dekar hī kuchh jānā
chal uṛ jā re paṅchhī …

bhūl jā ab vo mast havā vo uṛnā ḍālī-ḍālī
jab āṇkh kī kāṇṭā ban gaī, chāl terī matvālī
kaun bhalā us bāg ko pūchhe, ho nā jiskā mālī
terī qismat meṅ likhā hai jīte jī mar jānā
chal uṛ jā re paṅchhī …

rote haiṅ vo pṇkh-pakherū sāth tere jo khele
jinke sāth lagāye tūne armānoṅ ke mele
bhīgī āṇkhoṅ se hī unkī, āj duāyeṅ le le
kisko patā ab is nagrī meṅ kab ho terā ānā
chal uṛ jā re paṅchhī …