चल उड जा रे पंछी, के अब ये देस हुआ बेगाना
चल उड़ जा रे पंछी की अब ये देस हुआ बेगाना
तू ने तिनका तिनका चुनकर नगरी एक बसाई
बारीश में तेरी भीगी पाख़े, धूप में गर्मी खाई
ग़म ना कर जो तेरी मेहनत तेरे काम ना आई
अच्छा है कुछ ले जाने से दे कर ही कुछ जाना
भूल जा अब वो मस्त हवा, वो उड़ना डाली डाली
जग की आँख का कांटा बन गई चाल तेरी मतवाली
कौन भला उस बाग को पूछे, हो ना जिसका माली
तेरी किस्मत में लिखा है, जीते जी मर जाना
रोते हैं वो पंख पखेरू, साथ तेरे जो खेले
जिनके साथ लगाये तू ने अरमानों के मेले
भीगी अँखियों से ही उनकी आज दुआएं ले ले
किसको पता अब इस नगरी में कब हो तेरा आना
chal uṛ jā re paṅchhī kī ab ye des huā begānā
tū ne tinkā tinkā chunkar nagrī ek basāī
bārīśh meṅ terī bhīgī pākhe, dhūp meṅ garmī khāī
ġham nā kar jo terī mehnat tere kām nā āī
achchhā hai kuchh le jāne se de kar hī kuchh jānā
bhūl jā ab vo mast havā, vo uṛnā ḍālī ḍālī
jag kī āṇkh kā kāṅṭā ban gaī chāl terī matvālī
kaun bhalā us bāg ko pūchhe, ho nā jiskā mālī
terī kismat meṅ likhā hai, jīte jī mar jānā
rote haiṅ vo paṅkh pakherū, sāth tere jo khele
jinke sāth lagāye tū ne armānoṅ ke mele
bhīgī aṇkhiyoṅ se hī unkī āj duāeṅ le le
kisko patā ab is nagrī meṅ kab ho terā ānā