Chal die de ke gham ye na sochaa ke ham

चल दिए दे के ग़म ये न सोचा के हम्
Year
Language

चल दिए दे के ग़म ये न सोचा के हम
इस जहाँ में अकेले किधर जाएँगे
ऐसी मंज़िल पे छोड़ा है तुमने हमें
अब सहारा न दोगे तो मर जाएँगे
चल दिए दे के ग़म …

बिजलियों का न डर था न आँधी का ग़म
खो गए थे मुहब्बत की दुनिया में हम
क्‌या ख़बर थी कि लुट जाएगा आशियाँ
क्‌या ख़बर थी कि तिनके बिखर जाएँगे
चल दिए दे के ग़म …

याद करके तुम्हें रोएँगे उम्र भर
चैन आएगा दिल को न शाम-ओ-सहर
ज़िन्दगी में रहेगी तुम्हारी कमी
दिन गुज़रने को यूँ भी गुज़र जाएँगे
चल दिए दे के ग़म …

chal die de ke ġham ye na sochā ke ham
is jahāṇ meṅ akele kidhar jāeṇge
aisī maṅzil pe chhoṛā hai tumne hameṅ
ab sahārā na doge to mar jāeṇge
chal die de ke ġham …

bijliyoṅ kā na ḍar thā na āṇdhī kā ġham
kho gae the muhabbat kī duniyā meṅ ham
k‌yā khabar thī ki luṭ jāegā āśhiyāṇ
k‌yā khabar thī ki tinke bikhar jāeṇge
chal die de ke ġham …

yād karke tumheṅ roeṇge umr bhar
chain āegā dil ko na śhām-o-sahar
zindgī meṅ rahegī tumhārī kamī
din guzarne ko yūṇ bhī guzar jāeṇge
chal die de ke ġham …