Chal-chal re musaafir chal too is duniyaa se chal

चल-चल रे मुसाफ़िर चल तू इस दुनिया से चल्
Work
Year
Language

चल-चल रे मुसाफ़िर चल तू इस दुनिया से चल
जहाँ दिल का इक इशारा हो और दुनिया जाए बदल
चल-चल रे मुसाफ़िर …

मस्ती भरी हवाएँ जिस गली में जाएँ फूल खिलाएँ
ये मदहोश निगाहें जिसपे अटक जाएँ अपना बनाएँ
जहाँ प्यार का रस्ता कोई न रोके कोई न कहे संभल
चल-चल रे मुसाफ़िर …

रूप की प्यासी आँखें दिल में अरमान सौ तूफ़ान
आख़िर कभी तो होगी तुमसे पहचान ओ अनजान
कभी तो रिमझिम बरसेंगे ये रंग बरे बादल
चल-चल रे मुसाफ़िर …

प्यार की रीत निराली जो मौसम जाए जा के ना आए
दम भर की उजियाली जब दिन ढल जाए दिल घबराए
जहाँ उजड़े ना सिंगार किसी का फैले ना काजल
चल-चल रे मुसाफ़िर …

chal-chal re musāfir chal tū is duniyā se chal
jahāṇ dil kā ik iśhārā ho aur duniyā jāe badal
chal-chal re musāfir …

mastī bharī havāeṇ jis galī meṅ jāeṇ phūl khilāeṇ
ye madhośh nigāheṅ jispe aṭak jāeṇ apnā banāeṇ
jahāṇ pyār kā rastā koī na roke koī na kahe saṅbhal
chal-chal re musāfir …

rūp kī pyāsī āṇkheṅ dil meṅ armān sau tūfān
ākhir kabhī to hogī tumse pahchān o anjān
kabhī to rimjhim barseṅge ye raṅg bare bādal
chal-chal re musāfir …

pyār kī rīt nirālī jo mausam jāe jā ke nā āe
dam bhar kī ujiyālī jab din ḍhal jāe dil ghabrāe
jahāṇ ujaṛe nā siṅgār kisī kā phaile nā kājal
chal-chal re musāfir …