Chaand saa mukharaa k‌yon sharmaayaa

चाँद सा मुखड़ा क्‌यों शर्माया
Year
Language

नटखट तारों हमें न निहारो
हमरी ये प्रीत नई

चाँद सा मुखड़ा क्‌यों शर्माया
आँख मिली और दिल घबराया
चाँद सा…

झुक गए चंचल नैना इक झलकी दिखलाके
बोलो गोरी क्‌या रखा है पलकों में छुपाके
तुझको रे साँवरिया तुझसे ही चुराके
नैनों में सजाया मैंने गजरा बनाके
चाँद सा…

ये भीगे नज़ारे करते हैं इशारे
मिलने की ये रुत है गोरी दिन हैं हमारे
सुन लो पिया प्यारे क्‌या कहते हैं तारे
हमने तो ??? ??? कितनों के प्यारे
कभी न अलग हुई साया से काया
चाँद सा…

naṭkhaṭ tāroṅ hameṅ na nihāro
hamrī ye prīt naī

chāṇd sā mukhaṛā k‌yoṅ śharmāyā
āṇkh milī aur dil ghabrāyā
chāṇd sā…

jhuk gae chaṅchal nainā ik jhalkī dikhlāke
bolo gorī k‌yā rakhā hai palkoṅ meṅ chhupāke
tujhko re sāṇvriyā tujhse hī churāke
nainoṅ meṅ sajāyā maiṅne gajrā banāke
chāṇd sā…

ye bhīge nazāre karte haiṅ iśhāre
milne kī ye rut hai gorī din haiṅ hamāre
sun lo piyā pyāre k‌yā kahte haiṅ tāre
hamne to ??? ??? kitnoṅ ke pyāre
kabhī na alag huī sāyā se kāyā
chāṇd sā…