Chaand ghatne lagaa raat dhalne lagee

चाँद घटने लगा रात ढलने लगी
Work
Year
Language

ल ल
चाँद घटने लगा रात ढलने लगी
आरज़ू मेरे दिल की मचलने लगी ओ ओ

मेरी निंदिया से बोझल ये अखियाँ कहें
पार बैठो ज़रा कुछ कहें कुछ सुने
ठंडी ठंडी हवा अब चलने लगी
आरज़ू मेरे दिल की …

रात जाती है झोली में तारे लिए
राह तकते हैं पर हम तुम्हारे लिए
सोई सोई कली आँख मलने लगी
आरज़ू मेरे दिल की …

दीप तारों के बुझने से पहले सनम
आज कहना है जो कुछ भी कह ले सनम
आग सुलगी हुई देख जलने लगी
आरज़ू मेरे दिल की …

la la
chāṇd ghaṭne lagā rāt ḍhalne lagī
ārazū mere dil kī machalne lagī o o

merī niṅdiyā se bojhal ye akhiyāṇ kaheṅ
pār baiṭho zarā kuchh kaheṅ kuchh sune
ṭhaṅḍī ṭhaṅḍī havā ab chalne lagī
ārazū mere dil kī …

rāt jātī hai jholī meṅ tāre lie
rāh takte haiṅ par ham tumhāre lie
soī soī kalī āṇkh malne lagī
ārazū mere dil kī …

dīp tāroṅ ke bujhne se pahle sanam
āj kahnā hai jo kuchh bhī kah le sanam
āg sulgī huī dekh jalne lagī
ārazū mere dil kī …