Chaahe paas ho, chaahe door ho, mere sapnonkee tum tasveer ho

चाहे पास हो, चाहे दूर हो, मेरे सपनोंकी तुम तस्वीर हो
Year
Language

चाहे पास हो, चाहे दूर हो
मेरे सपनों की तुम तस्वीर हो

ओ परदेसी, भूल ना जाना
हमने किया तुझे दिल नज़राना
दिल ये हमारा, तू ने न जाना
सीखा है हम ने भी वादा निभाना
चाहे पास हो, चाहे दूर हो
मेरे जीवन की तुम तकदीर हो

जब तक चमके चाँद सितारे
हम हैं तुम्हारे, तुम हो हमारे
सागर की जो लहरे पुकारे
मिलके रहेंगे दोनो किनारे
चाहे पास हो, चाहे दूर हो
मेरे सपनों की तुम तस्वीर हो

chāhe pās ho, chāhe dūr ho
mere sapnoṅ kī tum tasvīr ho

o pardesī, bhūl nā jānā
hamne kiyā tujhe dil nazrānā
dil ye hamārā, tū ne na jānā
sīkhā hai ham ne bhī vādā nibhānā
chāhe pās ho, chāhe dūr ho
mere jīvan kī tum takdīr ho

jab tak chamke chāṇd sitāre
ham haiṅ tumhāre, tum ho hamāre
sāgar kī jo lahre pukāre
milke raheṅge dono kināre
chāhe pās ho, chāhe dūr ho
mere sapnoṅ kī tum tasvīr ho