Chaahat kaa bhulaanaa mushkil hai

चाहत का भुलाना मुश्किल है
Work
Year
Language

( चाहत का भुलाना भुलाना मुश्किल है
हाय मुश्किल है ) -2
जब आग ये दिल में लग जाये -2
फिर इसका बुझाना बुझाना मुश्किल है
हाय मुश्किल है
चाहत का भुलाना भुलाना मुश्किल है
हाय मुश्किल है

( क्‌यूँ हूक सी उठती है दिल में
क्‌यूँ बोझ सा रहता है दिल पर ) -2
समझो तो समझना आता है
पूछो तो बताना बताना मुश्किल है
हाय मुश्किल है
चाहत का भुलाना भुलाना मुश्किल है
हाय मुश्किल है

( सुख-चैन के दिन ग़म की रातें
या मिल के बिछड़ने की बातें ) -2
कुछ याद भी रखना खेल नहीं
और भूल भी जाना जाना मुश्किल है
हाय मुश्किल है
चाहत का भुलाना भुलाना मुश्किल है
हाय मुश्किल है

( chāhat kā bhulānā bhulānā muśhkil hai
hāy muśhkil hai ) -2
jab āg ye dil meṅ lag jāye -2
phir iskā bujhānā bujhānā muśhkil hai
hāy muśhkil hai
chāhat kā bhulānā bhulānā muśhkil hai
hāy muśhkil hai

( k‌yūṇ hūk sī uṭhtī hai dil meṅ
k‌yūṇ bojh sā rahtā hai dil par ) -2
samjho to samajhnā ātā hai
pūchho to batānā batānā muśhkil hai
hāy muśhkil hai
chāhat kā bhulānā bhulānā muśhkil hai
hāy muśhkil hai

( sukh-chain ke din ġham kī rāteṅ
yā mil ke bichhaṛne kī bāteṅ ) -2
kuchh yād bhī rakhnā khel nahīṅ
aur bhūl bhī jānā jānā muśhkil hai
hāy muśhkil hai
chāhat kā bhulānā bhulānā muśhkil hai
hāy muśhkil hai