Bulbulo mat ro yahaan

बुलबुलो मत रो यहाँ
Work
Year
Language

बुलबुलो मत रो यहाँ आँसू बहाना है मना
इन क़फ़स के क़ैदियों को ग़ुल मचाना है मना

छोड़ कर तूफ़ाँ में ये मल्लाह कह कर चल दिया
डूब जा मझधार में साहिल पे आना है मना

मैं हूँ वो फ़रियाद जिस का सुनने वाला चल बसा
मैं हूँ वो आँसू जिसे दामन पे आना है मना

bulbulo mat ro yahāṇ āṇsū bahānā hai manā
in qafas ke qaidiyoṅ ko ġhul machānā hai manā

chhoṛ kar tūfāṇ meṅ ye mallāh kah kar chal diyā
ḍūb jā majhdhār meṅ sāhil pe ānā hai manā

maiṅ hūṇ vo fariyād jis kā sunne vālā chal basā
maiṅ hūṇ vo āṇsū jise dāman pe ānā hai manā