Bulbul mere chaman ke taqdeer meree ban ke

बुलबुल मेरे चमन के तक़दीर मेरी बन के
Work
Year
Language

बुलबुल मेरे चमन के, तक़दीर मेरी बन के
जागो मेरी तमन्ना, जागो

देखो मेरी नज़र में, हसरत मचल रही है
परवाना सो रहा है, और शम्मा जल रही है
कहती है बेक़रारी, ये रातें हैं हमारी
जागो मेरी तमन्ना, जागो

नीले गगन पे चंदा रुक जाये चलते चलते
जागो तो ठहर जायेँ ये रात ढलते ढलते
आये न फिर सवेरा तुम साथ दो जो मेरा
जागो मेरी तमन्ना, जागो

bulbul mere chaman ke, taqdīr merī ban ke
jāgo merī tamannā, jāgo

dekho merī nazar meṅ, hasrat machal rahī hai
parvānā so rahā hai, aur śhammā jal rahī hai
kahtī hai beqrārī, ye rāteṅ haiṅ hamārī
jāgo merī tamannā, jāgo

nīle gagan pe chaṅdā ruk jāye chalte chalte
jāgo to ṭhahar jāyeṇ ye rāt ḍhalte ḍhalte
āye na phir saverā tum sāth do jo merā
jāgo merī tamannā, jāgo