Bujhaa do pyaas dil kee ... mere tan kee agan mere man kee agan

बुझा दो प्यास दिल की ... मेरे तन की अगन मेरे मन की अगन्
Work
Year
Language

बुझा दो बुझा दो प्यास दिल की बुझा दो
मेरे तन की अगन मेरे मन की अगन ये जलन
ये तपन जान-ए-मन बुझा दो

सीने में यूं लौ ये उठे जज़्बात दिल के जवां
कहता है दिल इस आग में मैं फूंक दूं दो जहां
मरने का डर नहीं है मगर प्यासी ही मर जाऊं ना
ना ना ना ना ना
बुझा दो …

हाँ ये जिस्म की नर्मियां साँसों की ये गर्मियां
ये अल्हड़ अलमस्त जवानी होगी कल कहां
अरे ना ना अब तो सही जाए ना पल भर की दूरियां
किसको पता है किस पल क्‌या हो जाएगा यहां
बुझा दो …

दहकी हुई इस प्यास को हद से गुज़र जाने दो
सितमगर सनम ये तेरा सितम
कहीं ले ले ना मेरी जां ना ना ना ना
बुझा दो …

bujhā do bujhā do pyās dil kī bujhā do
mere tan kī agan mere man kī agan ye jalan
ye tapan jān-e-man bujhā do

sīne meṅ yūṅ lau ye uṭhe jazbāt dil ke javāṅ
kahtā hai dil is āg meṅ maiṅ phūṅk dūṅ do jahāṅ
marne kā ḍar nahīṅ hai magar pyāsī hī mar jāūṅ nā
nā nā nā nā nā
bujhā do …

hāṇ ye jism kī narmiyāṅ sāṇsoṅ kī ye garmiyāṅ
ye alhaṛ almast javānī hogī kal kahāṅ
are nā nā ab to sahī jāe nā pal bhar kī dūriyāṅ
kisko patā hai kis pal k‌yā ho jāegā yahāṅ
bujhā do …

dahkī huī is pyās ko had se guzar jāne do
sitamgar sanam ye terā sitam
kahīṅ le le nā merī jāṅ nā nā nā nā
bujhā do …