Bhoolaa naheen denaa jee bhoolaa naheen denaa

भूला नहीं देना जी भूला नहीं देना
Work
Year
Language

भूला नहीं देना जी भूला नहीं देना
जमाना खराब है दगा नहीं देना

प्यार की मस्ती छाई हुई है
नींद सी मुझको आई हुई है
नींद से देखो जगा नहीं देना

आँखों में सपनें झूम रहे हैं
गीत लबों को चूम रहे हैं
गीतों को आहें बना नहीं देना

जिंदगी आँखे मलने लगी है
शम्मा सी दिल में जलने लगी है
शम्मा जला के बुझा नहीं देना

bhūlā nahīṅ denā jī bhūlā nahīṅ denā
jamānā kharāb hai dagā nahīṅ denā

pyār kī mastī chhāī huī hai
nīṅd sī mujhko āī huī hai
nīṅd se dekho jagā nahīṅ denā

āṇkhoṅ meṅ sapneṅ jhūm rahe haiṅ
gīt laboṅ ko chūm rahe haiṅ
gītoṅ ko āheṅ banā nahīṅ denā

jiṅdgī āṇkhe malne lagī hai
śhammā sī dil meṅ jalne lagī hai
śhammā jalā ke bujhā nahīṅ denā