Bhool jaa sapne suhaane ... kaise tujhko bhulaaoon

भूल जा सपने सुहाने ... कैसे तुझको भुलाऊँ
Work
Year
Language

त: भूल जा सपने सुहाने भूल जा -2
ल: कैसे तुझको भुलाऊँ ( साजना ) -3
मैं तुमसे दूर दिल ग़म से चूर
मेरे दिल कू सजन समझा जा
कैसे तुझको भुलाऊँ …

ल: एक तूफ़ाँ इधर एक तूफ़ाँ उधर
फिर भी मिल के रहेगी नज़र से नज़र -2
आज मिल के रहेगी नज़र
कैसे तुझको भुलाऊँ …

त: मुझे तेरी क़सम नहीं मरने का ग़म
ग़म ये है बिछड़ जाएँगे तुमसे हम
ओ बिछड़ जाएँगे तुमसे हम
भूल जा सपने सुहाने …

ल: आई लहरों का सीना सनम चीर के -2
जीतना है तुझे आज तक़दीर से -2
आज तक़दीर से ओ सनम
कैसे तुझको भुलाऊँ …

ta: bhūl jā sapne suhāne bhūl jā -2
la: kaise tujhko bhulāūṇ ( sājnā ) -3
maiṅ tumse dūr dil ġham se chūr
mere dil kū sajan samjhā jā
kaise tujhko bhulāūṇ …

la: ek tūfāṇ idhar ek tūfāṇ udhar
phir bhī mil ke rahegī nazar se nazar -2
āj mil ke rahegī nazar
kaise tujhko bhulāūṇ …

ta: mujhe terī qasam nahīṅ marne kā ġham
ġham ye hai bichhaṛ jāeṇge tumse ham
o bichhaṛ jāeṇge tumse ham
bhūl jā sapne suhāne …

la: āī lahroṅ kā sīnā sanam chīr ke -2
jītnā hai tujhe āj taqdīr se -2
āj taqdīr se o sanam
kaise tujhko bhulāūṇ …