Bholee soorat dil ke khote

भोली सूरत दिल के खोटे
Work
Year
Language

भोली सूरत दिल के खोटे
नाम बड़े और दरशन छोटे

नए जमाने के ये छैला
उजले कपडे दिल है मैला
रंगबिरंगी इनकी टाई
घर में लेकिन कड़की छाई
फैशन में दिल लोटे पोटे

नए ज़माने की ये नारी
ऊंची सैंडल बाँकी साड़ी
नैनों में कजरा, होठों पे लाली
हाथ में कंगन, कान में बाली
नखरे बड़े मोटे मोटे

हुस्न और इश्क़ की ये लड़ाई
शुरू से जग में होती आई
न कोई जीते, न कोई हारे
अजी क्यों ना दिल मिल जाए सारे
ना तुम बड़े ना हम छोटे

bholī sūrat dil ke khoṭe
nām baṛe aur daraśhan chhoṭe

nae jamāne ke ye chhailā
ujle kapḍe dil hai mailā
raṅgbiraṅgī inkī ṭāī
ghar meṅ lekin kaṛkī chhāī
phaiśhan meṅ dil loṭe poṭe

nae zamāne kī ye nārī
ūṅchī saiṅḍal bāṇkī sāṛī
nainoṅ meṅ kajrā, hoṭhoṅ pe lālī
hāth meṅ kaṅgan, kān meṅ bālī
nakhre baṛe moṭe moṭe

husn aur iśhq kī ye laṛāī
śhurū se jag meṅ hotī āī
na koī jīte, na koī hāre
ajī kyoṅ nā dil mil jāe sāre
nā tum baṛe nā ham chhoṭe