Bheegaa-bheegaa pyaar kaa samaan bataa de tujhe jaanaa

भीगा-भीगा प्यार का समाँ बता दे तुझे जाना
Work
Year
Language

र: भीगा-भीगा प्यार का समाँ
बता दे तुझे जाना है कहाँ बलिए बता दे तुझे जाना है कहाँ
श: चलूँगी तू ले चले जहाँ
कि तेरे बिना जाना है कहाँ बलिया कि तेरे बिना जाना है कहाँ

र: सोच समझ ले बड़ी मुश्किल है प्यार की राहों में -2
श: मुझे डर कैसा मेरी दुनिया है पिया तेरी बाँहों में -2
तुम संग जोड़ी प्रीत की डोरी मैं तो हुई तेरी सजना
कि तेरे बिना जाना है …

र: मुड़ के न देखें कभी दिलवाले छोड़ी हुई मंज़िल को -2
श: चल ही दिए तो रुकना कैसा अब जो हो सो हो -2
तू है मेरी काया मैं हूँ तेरी छाया जहाँ तू है मैं भी हूँ वहाँ
कि तेरे बिना जाना है …
दो: भीगा-भीगा प्यार का …

ra: bhīgā-bhīgā pyār kā samāṇ
batā de tujhe jānā hai kahāṇ balie batā de tujhe jānā hai kahāṇ
śha: chalūṇgī tū le chale jahāṇ
ki tere binā jānā hai kahāṇ baliyā ki tere binā jānā hai kahāṇ

ra: soch samajh le baṛī muśhkil hai pyār kī rāhoṅ meṅ -2
śha: mujhe ḍar kaisā merī duniyā hai piyā terī bāṇhoṅ meṅ -2
tum saṅg joṛī prīt kī ḍorī maiṅ to huī terī sajnā
ki tere binā jānā hai …

ra: muṛ ke na dekheṅ kabhī dilvāle chhoṛī huī maṅzil ko -2
śha: chal hī die to ruknā kaisā ab jo ho so ho -2
tū hai merī kāyā maiṅ hūṇ terī chhāyā jahāṇ tū hai maiṅ bhī hūṇ vahāṇ
ki tere binā jānā hai …
do: bhīgā-bhīgā pyār kā …