Bharak rahee hai aag see havaaon men

भड़क रही है आग सी हवाओं में
Year
Language

भड़क रही है आग सी हवाओं में
सुलग रहा हूँ बादलों की चाँवों में
बहार मुझसे छिन गई मुझे बहार चाहिये
मुझे सुकून चाहिये, मुझे क़रार चाहिये

किसी की दिल्लगी को प्यार जान के
मैं लुट गया हूँ दिल की बात मान के -2
न मुझको चाहिये वफ़ा, न मुझको प्यार चाहिये
मुझे सुकून चाहिये, मुझे क़रार चाहिये
सुलग रहा हूँ बादलों की चाँवों में

न जाने कब ये दिल का दर्द जायेगा
रहूँगा होश में तो ग़म सतायेगा -2
मेरे लिये तो रात-दिन बस इक ख़ुमार चाहिये
मुझे सुकून चाहिये, मुझे क़रार चाहिये
सुलग रहा हूँ बादलों की चाँवों में

तड़प न मेरे दिल किसी की आस में
हज़ार तल्ख़ियाँ है तेरी प्यास में
तुझे तो सारी ज़िंदगी का इंतज़ार चाहिये
मुझे सुकून चाहिये, मुझे क़रार चाहिये
सुलग रहा हूँ बादलों की चाँवों में

bhaṛak rahī hai āg sī havāoṅ meṅ
sulag rahā hūṇ bādloṅ kī chāṇvoṅ meṅ
bahār mujhse chhin gaī mujhe bahār chāhiye
mujhe sukūn chāhiye, mujhe qarār chāhiye

kisī kī dillgī ko pyār jān ke
maiṅ luṭ gayā hūṇ dil kī bāt mān ke -2
na mujhko chāhiye vafā, na mujhko pyār chāhiye
mujhe sukūn chāhiye, mujhe qarār chāhiye
sulag rahā hūṇ bādloṅ kī chāṇvoṅ meṅ

na jāne kab ye dil kā dard jāyegā
rahūṇgā hośh meṅ to ġham satāyegā -2
mere liye to rāt-din bas ik khumār chāhiye
mujhe sukūn chāhiye, mujhe qarār chāhiye
sulag rahā hūṇ bādloṅ kī chāṇvoṅ meṅ

taṛap na mere dil kisī kī ās meṅ
hazār talkhiyāṇ hai terī pyās meṅ
tujhe to sārī ziṅdgī kā iṅtazār chāhiye
mujhe sukūn chāhiye, mujhe qarār chāhiye
sulag rahā hūṇ bādloṅ kī chāṇvoṅ meṅ