भला है बुरा है जैसा भी है मेरा पति मेरा देवता है
भला है बुरा है जैसा भी है मेरा पति मेरा देवता है
मेरे देवता को कुछ न कहो मेरा देवता तो मेरा देवता है
भला है बुरा है …
तपस्या तो होती है सबकी बराबर मगर सबको भगवान मिलते कहां हैं
माली तो रखवाली करता है सबकी मगर सभी फूल खिलते कहां हैं
क्या भेद है किसको पता है
भला है बुरा है …
वही मेरी दुनिया वही मेरा जीवन वही मेरी भक्ति वही मेरी पूजा
वही मेरी नैया का हर पल सहारा नहीं मेरा उसके सिवा कोई दूजा
मगर अपनी तक़दीर को कहूं क्या मरूं भी तो इलज़ाम किस पे धरूं मैं
कहीं इलज़ाम सच्चे नहीं झूठा है सपना
दुनिया में सबका नसीब अपना अपना
भला है बुरा है …
bhalā hai burā hai jaisā bhī hai merā pati merā devtā hai
mere devtā ko kuchh na kaho merā devtā to merā devtā hai
bhalā hai burā hai …
tapasyā to hotī hai sabkī barābar magar sabko bhagvān milte kahāṅ haiṅ
mālī to rakhvālī kartā hai sabkī magar sabhī phūl khilte kahāṅ haiṅ
kyā bhed hai kisko patā hai
bhalā hai burā hai …
vahī merī duniyā vahī merā jīvan vahī merī bhakti vahī merī pūjā
vahī merī naiyā kā har pal sahārā nahīṅ merā uske sivā koī dūjā
magar apnī taqdīr ko kahūṅ kyā marūṅ bhī to ilazām kis pe dharūṅ maiṅ
kahīṅ ilazām sachche nahīṅ jhūṭhā hai sapnā
duniyā meṅ sabkā nasīb apnā apnā
bhalā hai burā hai …